Indira Gandhi : इंदिरा गांधी जयंती पर विशेष लेख, इंदिरा गांधी का जीवन परिचय, इंदिरा गाँधी की बॉयोग्राफी, Indira Gandhi biography
स्वर्ण मंदिर में हुये सेना के ऑपरेशन ब्लूस्टार में सिक्ख समुदाय की धार्मिक भावनाये आहत हुईं थीं। इस कारण उनके दो निजी सिक्ख सुरक्षा गार्डों ने उनकी हत्या कर दी थी। हम उनके सकारात्मक और देश का गौरव बढ़ाने वाले योगदान के लिये उनको नमन करते हैं।
◆ये भी पढें- शानदार देशभक्ति शायरी
Indira Gandhi ki biography
Bhaarat ki aan-baan aur shaan ko badhaane me poorv pradhaan mantri svargiya indira gandhi jee ke yogdaan ko poora bharat desh garv ke saath yaad karta hai. 1974 me pokharan me parmaanu bam ka parikshan, pakistan se yuddh me shandaar jeet, hamaare dushman pakistan ko do tukdon me todkar bangla desh ka nirmaan, bank’s ka rashtreeya karan, raj vanshon ka raj bhatta (privy purse) par rok, vaishvik neeti me sateek aur santulit bhoomika aadi unki aisi viraat uplabdhiyaan hain jinka zikra itihaas me svarn aksharon me ankit hai.
19 November 1917 ko allahabad me janmi Indira gandhi ke pita bharat ke swatantrata sangraam senaani aur poorv pradhaan mantri pandit shri jawaharlal nehru ji the. unke dada ji jane-mane swatantrata sangraam senaani aur vikhyaat barrister pandit moti lal nehru the. Vivaah ke poorv tak unka naam indira nehru hi tha. lekin uchch shiksha ke liye London ke oxford university gayeen indira ji ka judaav wahan padhne aaye ek paarsi yuvak firoz gandhi se hua aur is tarah firoj gandhi se shaadi karne ke baad unka naam indira Gandhi likha jaane laga.
bharat ke tatkaalin pradhaan mantri shri lalabaha
adur shastri ji ke shasankaal me indira jee apna pahla chunaaw ladakar jeeteen aur soochana prasaaran mantri baneen. lalabahaadur shaastri jee ke aakasmik nidhan pashchaat congress ne unhen pradhaan mantri ka ummeed vaar ghoshit kiya. Is tarah se wah 1966 se 1977 aur 1980 se 1984 tak bharat desh ki pradhaan mantri rahin.
Halaanki unke kayee faisale, maslan amrtsar ke swarn mandir me chhipe aatankvaadiyon se nipatne ke liye opration bluestar, lok nayak jay prakash narayan ko jel me dalna, aapaatkaal lagaana aadi unke aise kadam the jinke kaaran unhen bahut apyash jhelana pada tha. lekin apane twarit, sateek aur saahasik nirnayon ke liye indira gandhi keval bharat hi nahin valki poori duniya me jaani jaati hain. ekamaatra indira gaandhee hi theen jo bharat ki pahli aur aakhiri mahila pradhan mantri theen aur jinko unke drid iraadon ke kaaran lauh mahila kaha jaata tha.