भगवान बुद्ध पर कविता – बुद्ध पूर्णिमा पर एक ऐसी कविता जो बतायेगी कि बुद्ध कैसे बन सकते हैं।
Poem on lord buddha
Bhautik nidhiyon ke madhy yadi
Mujhme vairagya umad sakta
Sarvatra sulabh sukh sadhan se
Mai nirmohi ban lad sakta.
Sanketon par sab raas rang
Anuranjan karne baithe the
Bal vaibhav Mahal mahatta sab
Tatpar the aur anuthe the.
Bhram ka vartul bhram ke bandhan
Vibhram ki lahar uthi man me
Asakti drishti me aati hai
Jag uljha hai gahre bhram me.
Pahchan gaya darun hetu
Viplaw me saanse ghuti thin
Samyaktw param pad paane ko
Ik lahar hriday me uthti thi.
Sanshay fir ranch nahi aaya
Tatkshan kar tyag zamaane ko
Bah chala hawa jis or chali
Pag uthe naya path paane ko.
Dridhta samta kahti mujhse
Kar tap prabuddh ho jaaoge
Ik din aisa fir aayega
Tum swayam buddh ho jaaoge.
Kalpon se inhin vikalpon me
Triyak apaay me ramta hai
Bhautikta aur avidya me
Yah maanw pal pal bhrmta hai.
Yah panch sheel yah paarmita
Aalay vigyan bhawaagra kare
Yah kushal kare up paadan me
Yah upadaan se vyagra kare.
Yah bodhisattva charya kya hai
Unmaan nahi yun ho sakta
Yah dharm vinay kya kar sakta
Anumaan nahi yun ho sakta.
Kalraw vidweshan ka simte
Jay ghosh sangh ka failaao
Dhammam sharnam ki goonj uthe
Divi ghosh sabhi karte jaao.
Vishranti awastha ho jaaye
Sukh sabal aur chirmay hoga
Ho jaaye vishuddhi bhaavon me
Har jeev yahan nirbhay hoga.
Gar srota pann upasak ho
To swatah siddh ho jaaoge
Ik din aisa fir aayega
Tum swayam buddh ho jaaoge.
इस कविता का वीडियो ज़रूर देखें। भगवान बुद्ध पर ऐसा वीडियो आपने अभी तक नहीं देखा होगा। 👇👇👇
यह रचना भगवान बुद्ध पर कविता आपको कैसी लगी। अपनी प्रतिक्रिया अवश्य दर्ज करें। धन्यवाद
कृपया फस्ट मई यानी अंतरराष्ट्रीय मज़दूर दिवस पर कविता, शायरी, मंच संचालन के लिए आर्टिकल प्रस्तुत करें।
देवेंद्र जी मजदूर दिवस पर कविता प्रकशित हो गई है। क्षमा करें समयाभाव के कारण और कुछ नहीं लिख पाया।
भगवान बुद्ध पर बीर रस भजन लिखेंगे